Monday, March 19, 2012


Ek waqt tha jab thode se kaam chal jaata tha
Aaj jahaan kum padta hai
Halki si muskaan chehre pe laane mein
Lamba samay lagta hai

Kal socha tha ki kaash kal aaj jaisa ho
Aaj sochta hoon ki kal main kitna chota sochta tha
Jaane kyun ye bhool jaata hoon
Ki kabhi kabhi chota sochna hi accha hota hai
Halki si muskaan chehre pe laane mein
Lamba samay lagta hai

Naam hai, paisa hai
Uske bina bhi sab kuch khasa badhiya hai
Phir bhi koi toh baat hogi usmein 
Jo sab kuch kaam chalau lagta hai 
Halki si muskaan chehre pe laane mein
Lamba samay lagta hai

Badal jaaonga toh duniya bura maanegi
Phir se wohi ban jaaoonga
Toh woh kaunsa pehchanegi
Badalne mein nahi, janaab aaj kal samjhane mein waqt lagta hai
Halki si muskaan chehre pe laane mein
Lamba samay lagta hai

Kal hi ki baat hai
Maa ne poocha beta tu theek toh hai naa
Maine kaha nahi
Usne haan suna lagta hai
Halki si muskaan chehre pe laane mein
Lamba samay lagta hai

1 comment:

pranjal said...

kya baat hai :) chand shabdon mein thoda sa khayaal daal do toh kya kya keh dete hain :)