Aadhaa pauna karke joda hai
Sapno ka gullak bharne se pehle
Jaane kitni baar toda hai
Katra bhi mila toh ussay baata hai
Jaane kitne geele katron se bhara
Ye rookha sookha sa khaata hai
Armaanon ki lehar thi andar
Zidd thi ki jhook ke hi sahi
Apni khidki se bhi dikhe samandar
Zamane ki hasi ko
Jaane kitni baar
Hasi mein taala hai
Zindagi ki gaadi par letkar dekhe kayi taare
Toota jab bhi khahin ek
Aankh bandh maang liye saare
Tol mol ki zubaan aati nahi
Tumse hi hai saara vyaapaar
Ghaate mein bhi hai apni hissedari
Kahani meri choti si hai
Issay zyada soch ke na padhna
Ye bina soche smajhe hi ji hai