Ek waqt tha jab thode se kaam chal jaata tha
Aaj
jahaan kum padta hai
Halki
si muskaan chehre pe laane mein
Lamba
samay lagta hai
Kal
socha tha ki kaash kal aaj jaisa ho
Aaj
sochta hoon ki kal main kitna chota sochta tha
Jaane
kyun ye bhool jaata hoon
Ki
kabhi kabhi chota sochna hi accha hota hai
Halki
si muskaan chehre pe laane mein
Lamba
samay lagta hai
Naam
hai, paisa hai
Uske
bina bhi sab kuch khasa badhiya hai
Phir
bhi koi toh baat hogi usmein
Jo sab kuch kaam chalau lagta hai
Halki
si muskaan chehre pe laane mein
Lamba
samay lagta hai
Badal
jaaonga toh duniya bura maanegi
Phir
se wohi ban jaaoonga
Toh woh kaunsa pehchanegi
Badalne
mein nahi, janaab aaj kal samjhane mein waqt lagta hai
Halki
si muskaan chehre pe laane mein
Lamba
samay lagta hai
Kal
hi ki baat hai
Maa
ne poocha beta tu theek toh hai naa
Maine
kaha nahi
Usne
haan suna lagta hai
Halki
si muskaan chehre pe laane mein
Lamba
samay lagta hai